gaya to husn na diwar mein na dar mein tha wo ek shakhs jo mehman mere ghar mein tha najat dhup se milti to kis tarah milti mera safar to miyan dasht-e-be-shajar mein tha gham-e-zamana ki nagan ne das liya sab ko wahi bacha jo teri zulf ke asar mein tha khuli jo aankh to afsun-e-khwab tut gaya abhi abhi koi chehra meri nazar mein tha na aai ghar mein kabhi ek kiran bhi suraj ki agarche mera makan wadi-e-sahar mein tha mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid' khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha