ghabraiye kyun zindagi be-kaif agar hai aakhir shab-e-tarik ka anjam sahar hai wo sham ki surat hai na wo rang-e-sahar hai kis kaukab-e-manhus ka yarab ye asar hai afsana-e-gham sina-e-bulbul mein hai fariyaad auraq-e-gul-e-tar mein ba-unwan-e-digar hai be-dard hai insan to hain sab is ke hunar aib hai dil mein agar dard to har aib hunar hai sabit hai ba-har-taur gham-e-ishq ram-e-husn aaram ko puchho to idhar hai na udhar hai masnua ko sanea se juda kar nahin sakta aaine mein aks-e-hunar-e-aina-gar hai roti hui aankhon mein hai gharqab tabassum punjab hai dehli mein jo ab rahguzar hai phulon mein tera rang hai kanton mein teri nok ye husn tera hai ki mera husn-e-nazar hai 'mahrum' magar ishq tumhaara hai riyai fariyaad mein tasir na aahon mein asar hai