ghaflat ajab hai hum ko dam jis ka marte hain

By yasin-ali-khan-markazNovember 26, 2020
ghaflat ajab hai hum ko dam jis ka marte hain
maujud hai nazar mein jis ko pukarte hain
hum aaina hain haq ke haq aaina hai apna
masti mein apni har dam dam haq ka marte hain


hum apne aap talib matlub aap hum hain
is khel mein hamesha hum khud ko haarte hain
jannat ki hum ko khwahish dozakh ka dar nahin hai
be-asl muft waiz hum ko ubhaarte hain


zahir hai haq ka jalwa gar aankh ho to dekhe
'markaz' khuda ko aalam bhule pukarte hain
99801 viewsghazalEnglish