ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

By shad-azimabadiNovember 18, 2020
ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya
sab chalne ke the saman baham chalne hi ka saman kuchh na kiya
waiz ne bhare kham chur kiye tar kar di zamin ai pir-e-mughan
zalim ne zara bhi tera lihaz ai rahbar-e-iman kuchh na kiya


aamal ki zishti ka badla main kah nahin sakta kya milta
bheja bhi agar dozakh mein tujhe ai sahab-e-iman kuchh na kiya
mai pine ka dil mein josh na tha zahir ki talab thi hosh mein aa
saqi ne milaya zahar agar ai munkir-e-ehsan kuchh na kiya


mana ki badi saffak hai tu bil-farz badi jallad hai tu
main jita raha ta-subh agar to ai shab-e-hijran kuchh na kiya
taklif kisi ko gar pahunchi tu is mein takalluf kya nikla
hairan jo rakha qatil ko to ai shab-e-hijran kuchh na kiya


ulta na iraq-o-sham-o-halab duniya na hui viran to kya
jal-thal na lahu se to ne bhara to khun-e-musalman kuchh na kiya
sunta hun adu ko khak kiya mitti mein milaya ghar us ka
phunka na jala kar mujh ko agar tu ai shab-e-hijran kuchh na kiya


kya ji ke karunga main tanha yan tab kahan baqi dil ko
be-maut ke ab mara na mujhe to dagh-e-azizan kuchh na kiya
jumbish se teri maqtal hota ek aan mein dasht-e-karb-o-bala
ushshaq ki bebaki ka ewaz ai abru-e-barran kuchh na kiya


ai nang-e-jahan ai 'shad' bata kuchh sharm bhi tujh ko hai ki nahin
ai jehl-e-murakkab ai haiwan ai be-khabar insan kuchh na kiya
84080 viewsghazalEnglish