ghair ulfat ka raaz kya jaane lutf-e-naz-o-niyaz kya jaane nim-jaanon pe kya guzarti hai nargis-e-nim-baz kya jaane mere tul-e-shab-e-judai ko teri zulf-e-daraaz kya jaane pak-bazan-e-mai-kada ka maqam jo na ho pak-baz kya jaane dil hai us parde mein koi warna shama soz o gudaz kya jaane hum jo masti mein girte padte hain zahid aisi namaz kya jaane rah-e-ulfat na jis ne tai ki ho wo nasheb-o-faraaz kya jaane jis ke dil mein na soz ho wo 'jalil' kaif-e-awaz-e-saz kya jaane