ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar ghairat se rah gae hum yaksu kabab ho kar us ru-e-atishin se burqa sarak gaya tha gul bah gaya chaman mein khajlat se aab ho kar kal raat mund gai thin bahuton ki aankhen ghash se dekha kiya na kar to sarmast khwab ho kar parda rahega kyunkar khurshid-e-khawari ka nikle hai wo bhi ab be-naqab ho kar yak qatra aab main ne is daur mein piya hai nikla hai chashm-e-tar se wo khun-e-nab ho kar aa baithta tha sufi har subh mai-kade mein shukr-e-khuda ki nikla wan se kharab ho kar sharm-o-haya kahan tak hain 'mir' koi din ke ab to mila karo tum tuk be-hijab ho kar