ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua bare wo shokh pahle se chaalak to hua ji khush hua hai girte makanon ko dekh kar ye shahr khauf-e-khud se jigar-chaak to hua ye to hua ki aadmi pahuncha hai mah tak kuchh bhi hua wo waqif-e-aflak to hua kuchh aur wo hua na hua mujh ko dekh kar yaad-e-bahaar-e-husn se ghamnak to hua is kashmakash mein hum bhi thake to hain ai 'munir' shahr-e-khuda sitam se magar pak to hua