ghalat ki hijr mein hasil mujhe qarar nahin asir-e-yas hun paband-e-intizar nahin hai un ke ahd-e-wafa se munasibat dil ko use qayam nahin hai ise qarar nahin yahan to zabt-e-junun par na kar mujhe majbur faza-e-dasht hai ai aql bazm-e-yar nahin qafas mein dalega kis kis ko aakhir ai sayyaad asir-e-dam-e-wafa sau nahin hazar nahin jahan mein bulbul-e-bagh-e-khizan-nasib hun main meri nawaon mein rangini-e-bahaar nahin