gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena ai khuda tu mujhe jine ka hunar bhi dena hakim-e-waqt ye hijrat mujhe manzur magar dam-e-rukhsat mujhe saman-e-safar bhi dena ai shab-o-roz ke malik mujhe is duniya mein lailatul-qadr ki manind sahar bhi dena sun zara ghaur se sun ai shajar-e-saya-fagan jab tere sae mein pahunchun to samar bhi dena lafz niklen jo zaban se to dilon tak pahunchen meri taqrir mein kuchh aisa asar bhi dena tere altaf-o-karam ki hai bahar-su shohrat mal-o-zar dega hi to lal-o-gohar bhi dena tu jo shamshir-ba-kaf ho to main sar pesh karun jo hain dil wale unhen aata hai sar bhi dena bakhshne wale zamane ko jamal-e-har-rang jo tujhe dekh sake aisi nazar bhi dena le chala main teri jannat se bayaban ki taraf sar chhupane ko wahan tu mujhe ghar bhi dena harf aa jae na tujh par kahin kam-zarfi ka daman-e-'shams' ko tu dida-e-tar bhi dena