gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche mujhe khauf hai ye tohmat tere nam tak na pahunche main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche wo nawa-e-muzmahil kya na ho jis mein dil ki dhadkan wo sada-e-ahl-e-dil kya jo awam tak na pahunche mere tair-e-nafas ko nahin baghban se ranjish mile ghar mein aab-o-dana to ye dam tak na pahunche nai subh par nazar hai magar aah ye bhi dar hai ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak magar aisi be-rukhi kya ki salam tak na pahunche jo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di uthe har nigah lekin koi baam tak na pahunche unhen apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain main jo un se ruth jaun to payam tak na pahunche wahi ek khamosh naghma hai 'shakil' jaan-e-hasti jo zaban par na aae jo kalam tak na pahunche