gham-e-firaq mai o jam ka KHayal aaya
By shad-azimabadiNovember 18, 2020
gham-e-firaq mai o jam ka khayal aaya
safed baal liye sar pe ek wabaal aaya
milega ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil
halal karne mujhe id ka hilal aaya
agar hai dida-e-raushan to aaftab ko dekh
udhar uruj hua aur idhar zawal aaya
lutae dete hain in motiyon ko dida-e-shauq
bhar aae ashk ki muflis ke hath mal aaya
lagi nasim-e-bahaari jo marifat gane
gulon pe kuchh nahin mauquf sab ko haal aaya
payam-bar ko abas de ke khat udhar bheja
gharib aur wahan se shikasta-haal aaya
khuda khuda karo ai 'shad' is pe nakhwat kya
jo shairi tumhein aai to kya kamal aaya

22070 viewsghazal • English