gham-e-hijran ki mari DhunDhti hai
By saima-aftabNovember 15, 2020
gham-e-hijran ki mari dhundhti hai
hawa khushbu tumhaari dhundhti hai
dagar pe chalne wali zindagi bhi
kabhi be-akhtyari dhundhti hai
yakayak ho gaya hai khauf rukhsat
ki ab hirni shikari dhundhti hai
ajal ek aalam-e-wahshat mein raqsan
sabhi ko bari bari dhundhti hai
parinde khoj mein nikle hue hain
mujhe subh-e-bahaari dhundhti hai
hawa khushbu tumhaari dhundhti hai
dagar pe chalne wali zindagi bhi
kabhi be-akhtyari dhundhti hai
yakayak ho gaya hai khauf rukhsat
ki ab hirni shikari dhundhti hai
ajal ek aalam-e-wahshat mein raqsan
sabhi ko bari bari dhundhti hai
parinde khoj mein nikle hue hain
mujhe subh-e-bahaari dhundhti hai
72027 viewsghazal • English