gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae

By farogh-zaidiOctober 30, 2020
gham-e-hijran se zara yun bhi nibhai jae
mahfil-e-ghair sahi aaj sajai jae
ikhtilafat ki buniyaad hai gahri lekin
is pe nafrat ki na diwar uthai jae


pahle manzil ka hum apni to tayyun kar len
phir zamane ko koi rah dikhai jae
mai ke bare mein khayalat badal jaenge
hazrat-e-shaikh ko thodi si pilai jae


sab ke aamal pe tanqid hai shewa jis ka
baat kirdar pe us ke bhi uthai jae
yun hi aqwam ki taqdir sanwarti hai 'farogh'
neamat-e-ilm pe kuchh baat chalai jae


82925 viewsghazalEnglish