gham-e-ishq tu hi bata mujhe hai ye kya maqam khabar nahin yahan dard-e-dil ki dawa nahin yahan sham-e-gham ki sahar nahin hai ye jaane kaisa ajab jahan yahan raj karti hain pastiyan yahan be-gharaz koi dil nahin na hawas ho jis mein wo sar nahin tujhe kaise rah pe laun main tujhe kaise apna banaun main koi mujh mein aisi ada nahin koi aisa mujh mein hunar nahin main ajib khana-ba-dosh hun main kisi ka hun na koi mera main bhatak raha hun yahan wahan koi dar nahin koi ghar nahin