gham ke maron ka hai sahaara chand kitna achchha hai kitna pyara chand zard chehra hai chandni phiki kahin furqat ka ho na mara chand tu har ek ka hai aur kisi ka nahin log kahte rahen hamara chand hum jahan jaen jis taraf jaen sath rahta hai ye dil-ara chand badh gai aur dil ki betabi jaane kya kar gaya ishaara chand hum tere pas khud chale aae teri duri nahin gawara chand raat-bhar sath tha magar 'nadir' subh-dam kar gaya kinara chand