gham ki daulat ka kya karunga main

By surender-sagarJanuary 5, 2024
gham ki daulat ka kya karunga main
itni rahmat ka kya karunga main
tum meri aadaton mein shamil ho
is buri lat ka kya karunga main


us ka munh pher lena kafi hai
ab ijazat ka kya karunga main
koi munsif nahin mere haq mein
is 'adalat ka kya karunga main


us ki yaadon ki qaid achchhi hai
ab zamanat ka kya karunga main
roz milti ho jo bichhadne ko
is mohabbat ka kya karunga main


haal dil ka bayan na kar paun
aisi ghairat ka kya karunga main
ek musibat hai 'ishq bhi 'sagar'
aur aafat ka kya karunga main


25445 viewsghazalEnglish