gham ki surat liye khaDa kya hai
By sarahat-ahmad-sarahatJanuary 4, 2024
gham ki surat liye khada kya hai
mere hamdam tujhe hua kya hai
jis ne dekha tujhe hua shaida
tujh mein aakhir ye majra kya hai
dekhun jis samt hain tere jalwe
meri aankhon ko ho gaya kya hai
hum ko apni khabar nahin kuchh bhi
hum se mil kar bhi faeda kya hai
ye maraz la-'ilaj hai mana
dard-e-ulfat ki phir dawa kya hai
mere hamdam tujhe hua kya hai
jis ne dekha tujhe hua shaida
tujh mein aakhir ye majra kya hai
dekhun jis samt hain tere jalwe
meri aankhon ko ho gaya kya hai
hum ko apni khabar nahin kuchh bhi
hum se mil kar bhi faeda kya hai
ye maraz la-'ilaj hai mana
dard-e-ulfat ki phir dawa kya hai
37643 viewsghazal • English