gham kisi ghair ka bekar nahin karna hai

By atif-nadeemSeptember 22, 2023
gham kisi ghair ka bekar nahin karna hai
yun tamasha sar-e-bazar nahin karna hai
lan-tarani ki sada bhi unhen deni na pade
hum hi kah dete hain didar nahin karna hai


be-gunahi ka mere raaz na khulne pae
koi hangama sar-e-dar nahin karna hai
ya'ni dasi ke liye shah banega dushman
kya kaha bai'at-e-sardar nahin karna hai


mujh se kahta hai meri baat karo logon se
ye bhi kahta hai lagatar nahin karna hai
kam se kam yaad rahe un se ulajh kar hum ko
aakhiri rasta dushwar nahin karna hai


tu bhi jaane hai main munkir hun kai chizon ka
par teri zat ka inkar nahin karna hai
44080 viewsghazalEnglish