gham sahte hain par ghamza-e-beja nahin uThta

gham sahte hain par ghamza-e-beja nahin uthta
marte hain magar naz-e-masiha nahin uthta

kab pan raqibon ko inayat nahin hote
kis roz mere qatl ka beda nahin uthta

bal padte hain pahonche mein lachakti hai kalai
nazuk hain bahut phulon ka gajra nahin uthta

farmaiye irshad pahadon ko utha lun
par rashk ka sadma nahin uthta nahin uthta

kuche mein 'munir' un ke main baitha to wo bole
hai hai mere darwaze se pahra nahin uthta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close