gham utara gaya sabhi ke liye

By
gham utara gaya sabhi ke liye
ashk utre hain aadmi ke liye

ek tajalli mujhe 'inayat ho
meri aankhon ki raushni ke liye

ji ke lagta nahin munasib hai
zindagi lafz zindagi ke liye

bar hota raha kisi ke sipurd
shukr karta raha kisi ke liye

main ne had-darja koshishen kar lin
dil bana hi nahin khushi ke liye

kuchh darinde bhi jaane jate hain
apni insan-dosti ke liye

sab nahin jaante ye wo dar hai
yun to darwaza hai sabhi ke liye

us ne baadal hata liye 'amir'
chand lamhon ki chandni ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close