ghamon ki ye ajab barsat kya hai

By umar-alamMarch 1, 2024
ghamon ki ye 'ajab barsat kya hai
meri jaanan teri saughat kya hai
main aksar baith kar ye sochta hun
main khud se kyon khafa hun baat kya hai


chale jaana hai duniya se sabhi ko
magar ye sochta hun sath kya hai
khuda ne chaha to ek din milenge
bashar hain hum hamare hath kya hai


mohabbat par ye fatwa dene wale
ye pahle puchhte hain zat kya hai
hila paya na tufan bhi mujhe jab
mere dushman teri auqat kya hai


99025 viewsghazalEnglish