ghamon ko ham-safar apna banana chhoD dete hain

ghamon ko ham-safar apna banana chhod dete hain
rifaqat hum ko hai hasil jatana chhod dete hain

badi uljhan mein rahta hai jo hum se ishq karta hai
to ab ki bar se dil ko lagana chhod dete hain

likhe hain ishq ki dhun par hiqarat ke sabhi naghme
nahin jaez ye ab sach ko chhupana chhod dete hain

bina ghalati kiye koi kyun khud se ruth jata hai
meri fitrat hai ye ab har bahana chhod dete hain

haqiqat jaan lo ye phir ghamon se rabta rakhna
ye banjare hain ye aksar thikana chhod dete hain

meri ghazlon se hoti hai meri pahchan gar to ab
main hun nakaam ye sab ko batana chhod dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close