ghar ke pahlu mein khaDa tha jo shajar KHatm hua
By asim-qamarFebruary 25, 2024
ghar ke pahlu mein khada tha jo shajar khatm hua
ab dariche se hawaon ka guzar khatm hua
lambi bimari ne kal aakhri hichki le li
zindagi jit gai maut ka dar khatm hua
ruh ko chahiye aisa koi jismani padao
jis ko chhute hi lage aaj safar khatm hua
sham thi main ne jise waqt-e-sahar man liya
raat ghir aai to nairang-e-nazar khatm hua
mud ke jate hue main ne use dekha bhi nahin
aur jab ba'd mein ghusse ka asar khatm hua
ye jo nisbat hai 'ajab shai hai zara dekhen bhala
ek insan gaya sara nagar khatm hua

75898 viewsghazal • English