ghar ki diwar pe kyon likkha ki ghar Khaali hai
By adnan-asarJanuary 18, 2025
ghar ki diwar pe kyon likkha ki ghar khali hai
itni wahshat se bhara hai ye kidhar khali hai
aap mahsus na kar paenge mere dukh ko
sham hone ko hai aur sara shajar khali hai
teri marzi hai tu chahe to kare dil aabaad
ek tere waste ye bar-e-digar khali hai
main ne khun se nahin ashkon se likha tha wo khat
is mein likkha to bahut kuchh tha magar khali hai
ab bhala kaise padegi mere din mein barkat
aap ke pyar se jo meri sahar khali hai
koi jata hi nahin dasht siyahat ke liye
ek muddat se to ye rah-guzar khali hai
ghar kahan banta hai aaraish-e-ashya se 'asar'
jis mein bahnen nahin hoti hain wo ghar khali hai

88601 viewsghazal • English