ghar mein ek raat zabanon pe tha hae abbu
By asim-qamarFebruary 25, 2024
ghar mein ek raat zabanon pe tha hae abbu
phir kabhi laut ke wapas nahin aae abbu
aakhiri pahr mein ja ke kahin nind aati hai
aur phir khwab mein sine se lagae abbu
yun to nau fard the haalanki bharam rakhne ko
pir koi na samajh paya siwae abbu
mera beta bhi bada ho ke samajh jaega
main bhi rota tha khilaune nahin lae abbu
kash ek roz main jagun to purane din hon
un ko akhbar dun aur puchh lun chae abbu
jab safar ke liye tayyariyan karte karte
thak gae to mere hathon se nahae abbu

68924 viewsghazal • English