ghar mein rauzan nahin raha koi

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
ghar mein rauzan nahin raha koi
ab nahin aaegi sada koi
puchh kar dekhte pata apna
kash hum ko bhi jaanta koi


main ne masjid mein jaana chhod diya
roz mil jata tha khuda koi
sare virane ho gae nakaam
mujh ko tanha na kar saka koi


zinda rahne ke mashware ke sath
yar tarkib bhi bata koi
aarzu thi ki ek bar mujhe
meri aankhon se dekhta koi


chikhne wale ho gae khamosh
phir daricha nahin khula koi
zahr itne pilae logon ne
mujh mein zinda nahin bacha koi


56359 viewsghazalEnglish