ghar se jata hun roz sham se main

By jamal-ehsaniNovember 2, 2020
ghar se jata hun roz sham se main
raat bhar ke programme se main
ai meri jaan-e-intishaar-pasand
tang hun tere intizam se main


ye jo ladta-jhagadta hun sab se
bach raha hun qubul-e-am se main
main utara gaya tha arsh se aur
farsh par gir pada dhadam se main


shakl ka lahiqa nahin ham-rah
jaana jata hun sirf nam se main
kya kahun ubne laga hun 'jamal'
ek hi jaise subh o sham se main


63065 viewsghazalEnglish