gharon mein chhup ke na baiTho ki rut suhani hai
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
gharon mein chhup ke na baitho ki rut suhani hai
chhaton pe aao ki sawan ka pahla pani hai
wafaen aaj bhi khun mangti hain khwabon ka
saza ke dhang nae hain saza purani hai
ye hadsat to bachpan se sath hain mere
tumhaara gham to bahut ba'd ki kahani hai
kisi khayal ki phir tamkanat hai chehre par
kisi ke surkh dupatte se dhup chhani hai

84930 viewsghazal • English