ghata sawan ki umdi aa rahi hai payam-e-ashk bhar bhar la rahi hai ragon mein khun gardish kar raha hai jawani saz-e-dil par ga rahi hai rulata hai unhen bhi kya ye sawan mujhe kali ghata tadpa rahi hai tarannum-khez jamuna ke kinare kisi ki yaad paiham aa rahi hai ye aakhir kaun hai jo chup khada hai nazar har bar dhoka kha rahi hai hum apne dil ka dukhda ro rahe hain tumhaari aankh jhapki ja rahi hai tum apne dhyan mein dubi hui ho tumhaari odhni lahra rahi hai meri be-khwab aankhon ko mubarak ki aakhir maut ki nind aa rahi hai