ghaw jitne gahre hon main bhul jata hun sabhi

By shahzad-niazFebruary 29, 2024
ghaw jitne gahre hon main bhul jata hun sabhi
jaan-e-jaan jaan-e-jigar ko muskuraata dekh kar
phika sazina lage alghuza barbat par mujhe
jab kabhi jaanan ko sun lun gungunata dekh kar


dur har ek gham kare aisi meri dam-saz hai
tham le mushkil mein mujh ko dagmagata dekh kar
mand pad jati hai ujli mahtabi har kiran
dip un aankhon mein raushan jhilmilata dekh kar


50502 viewsghazalEnglish