ghazab hai justuju-e-dil ka ye anjam ho jae ki manzil dur ho aur raste mein sham ho jae wahi nala wahi naghma bas ek tafriq-e-lafzi hai qafas ko muntashir kar do nasheman nam ho jae tasadduq ismat-e-kaunain us majzub-e-ulfat par jo un ka gham chhupae aur khud bad-nam ho jae ye aalam ho to un ko be-hijabi ki zarurat kya naqab uthne na pae aur jalwa aam ho jae ye mera faisla hai aap mere ho nahin sakte main jab jaanun ki ye jazba mera nakaam ho jae abhi to dil mein halki si khalish mahsus hoti hai bahut mumkin hai kal is ka mohabbat nam ho jae jo mera dil na ho 'sheri' harif un ki nigahon ka to duniya bhar mein barpa inqalab-e-am ho jae