ghazab mein shishagar hai aur main hun
By khurshid-khawar-amrohviJanuary 17, 2022
ghazab mein shishagar hai aur main hun
mera shishe ka ghar hai aur main hun
nigah-e-tez-tar hai aur main hun
mohabbat ka asar hai aur main hun
sukun mujh ko mayassar kis tarah ho
ki aabaadi mein ghar hai aur main hun
kab aae manzil-e-maqsud dekho
takhayyul ka safar hai aur main hun
bataun kya mashaghil zindagi ke
kisi ka sang-e-dar hai aur main hun
na kuchh zad-e-safar hai aur na tosha
safar be-baal-o-par hai aur main hun
bahut hai kar-ha-e-zist lekin
hayat-e-mukhtasar hai aur main hun
takhayyul mein talatum sa bapa hai
ye dariya zor par hai aur main hun
huzuri ki ho kya tadbir 'khawar'
wahi darban-e-dar hai aur main hun
mera shishe ka ghar hai aur main hun
nigah-e-tez-tar hai aur main hun
mohabbat ka asar hai aur main hun
sukun mujh ko mayassar kis tarah ho
ki aabaadi mein ghar hai aur main hun
kab aae manzil-e-maqsud dekho
takhayyul ka safar hai aur main hun
bataun kya mashaghil zindagi ke
kisi ka sang-e-dar hai aur main hun
na kuchh zad-e-safar hai aur na tosha
safar be-baal-o-par hai aur main hun
bahut hai kar-ha-e-zist lekin
hayat-e-mukhtasar hai aur main hun
takhayyul mein talatum sa bapa hai
ye dariya zor par hai aur main hun
huzuri ki ho kya tadbir 'khawar'
wahi darban-e-dar hai aur main hun
91422 viewsghazal • English