ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana

By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
ghazab tha un nigahon se nigahen chaar ho jaana
wo un ka tod kar dil ko jigar ke par ho jaana
nazakat de agar mashq-e-khiram-e-naz ki rukhsat
su-e-gor-e-gariban bhi kabhi ai yar ho jaana


dil-e-diwana se kya bahste ho hosh mein aao
ye kya hai ek zara si chhed par bezar ho jaana
wo uth jaana kisi 'isa-nafas ka meri baalin se
wo achchha hote hote phir mera bimar ho jaana


tariq-e-‘ishq mein ai khizr hai ek imtihan ye bhi
ajal ka sahl hona zindagi dushwar ho jaana
zara kuchh hosh mein aa len to hum musa se ye puchhen
ki kaisa hai kisi ka talib-e-didar ho jaana


hazaron pad gae rakhne dil-o-jaan mein meri 'rafat'
wo hat kar un ka rauzan se pas-e-diwar jaana
42808 viewsghazalEnglish