ghazal ghazal wahi chehra dikhai deta hai

By liyaqat-ali-aasimSeptember 4, 2022
ghazal ghazal wahi chehra dikhai deta hai
sukhan sukhan wahi goya dikhai deta hai
qaba-e-surkh mein kya hai ki dekhte rahiye
wo har libas mein achchha dikhai deta hai


bahut qarib na aao main aaina hi sahi
bahut qarib se dhundla dikhai deta hai
ye kya sitam hai ki basti ke ek hi ghar mein
kai gharon ka ujala dikhai deta hai


koi khayal na surat na zaiqa na pukar
bas ek wahm guzarta dikhai deta hai
khizan ki dhup mein main ne kaha na tha ki mujhe
hara-bhara koi saya dikhai deta hai


kisi ke hath mein kasa nahin magar 'asim'
har ek hath mein kasa dikhai deta hai
19023 viewsghazalEnglish