ghazal ki chahaton ashaar ki jagir wale hain tumhein kis ne kaha hai hum bari taqdir wale hain wo jin ko khud se matlab hai siyasi kaam dekhen wo hamare sath aaen jo parai pair wale hain wo jin ke panw the aazad pichhe rah gae hain wo bahut aage nikal aaen hain jo zanjir wale hain hain khoti niyyaten jin ki wo kuchh bhi pa nahin sakte nishane kya lagen un ke jo tedhe tir wale hain tumhaari yaaden patthar baziyan karti hain sine mein hamare haal bhi ab hu-ba-hu kashmir wale hain