ghazlen to kahi hain kuchh hum ne un se na kaha ahwal to kya kal misl-e-sitara ubhrenge hain aaj agar pamal to kya jine ki dua dene wale ye raaz tujhe malum nahin takhliq ka ek lamha hai bahut be-kar jiye sau sal to kya sikkon ke ewaz jo bik jae wo meri nazar mein husn nahin ai sham-e-shabistan-e-daulat tu hai jo pari-timsal to kya har phul ke lab par nam mera charcha hai chaman mein aam mera shohrat ki ye daulat kya kam hai gar pas nahin hai mal to kya hum ne jo kiya mahsus kaha jo dard mila hans hans ke saha bhulega na mustaqbil hum ko nalan hai jo hum se haal to kya hum ahl-e-mohabbat pa lenge apne hi sahaare manzil ko yaran-e-siyasat ne har-su phailae hain rangin jal to kya duniya-e-adab mein ai 'jalib' apni bhi koi pahchan to ho 'iqbaal' ka rang udane se tu ban bhi gaya 'iqbaal' to kya