ghazlon ki dhanak odh mere shoala-badan tu hai mera sukhan tu mera mauzu-e-sukhan tu kaliyon ki tarah phut sar-e-shakh-e-tamanna khushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu nazil ho kabhi zehn pe aayat ki surat aayat mein dhal ja kabhi jibril dahan tu ab kyun na sajaun main tujhe dida o dil mein lagta hai andhere mein sawere ki kiran tu pahle na koi ramz-e-sukhan thi na kinaya ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehwar-e-fan tu ye kam to nahin tu mera meyar-e-nazar hai ai dost mere waste kuchh aur na ban tu mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jaan mein dhundega kahan chandni raaton ka kafan tu