ghubar-e-masiyat ki is tarah ki shust-o-shu barson mai-e-saqi se ai zahid kiya main ne wuzu barson zaban-e-be-zabani hum se badh kar kaun samjhega teri taswir se furqat mein ki hai guftugu barson na pyas apni bujhegi baada-e-kausar se jannat mein rahegi ruh meri kushta-e-jam-o-subu barson