ghunche chatak gae chaman-e-rozgar ke phute habab mauj-e-nasim-e-bahaar ke rizwan jo tokega dar-e-fridaus par hamein kah denge rahne wale hain hum ku-e-yar ke aankhen taras rahi hain meri teri zulf ko tare chamak rahe hain shab-e-intizar ke aaghaz mein bhi hum ko hai anjam ka khayal dhadke shabab mein bhi hain roz-e-shumar ke mazmun hain hiran meri bandish kamand hai ai 'qadr' shairi mein maze hain shikar ke