ghurur-e-katib-e-taqdir toD Dalte hain

By farhat-ehsasFebruary 26, 2024
ghurur-e-katib-e-taqdir tod dalte hain
chalo ye aabla-e-bakht phod dalte hain
jo hum ne dekha use koi aur kyon dekhe
hum us ke jate hi aaina tod dalte hain


raqib hain tere kuche ke sab sag-e-duniya
jo 'ashiq aata hai us ko bhanbhod dalte hain
bigadne dete nahin hum mohabbaton ka hisab
makan-e-naf' khasaron se tod dalte hain


kare jo ek bhi neki to us ke khate mein
hum apni nekiyan lakhon karod dalte hain
na bach rahe kahin ma'ni ke nur ki koi bund
hum apna qafiya itna nichod dalte hain


hamari nind se hum ko utha nahin pate
ye zalzale jo zamin ko jhinjhod dalte hain
siwae 'ishq kisi kaam ke nahin 'ehsas'
koi bhi kaam diya jae god dalte hain


31129 viewsghazalEnglish