ghuT ghuT kar mar jaana bhi

By aziz-ansariOctober 28, 2020
ghut ghut kar mar jaana bhi
hansna aur hansana bhi
apne liye hi mushkil hai
izzat se ji pana bhi


bharna jam ko ashkon se
phir us ko pi jaana bhi
pas mere aa jao to
aa ke phir na jaana bhi


jis pe itne sher kahe
us pe ek afsana bhi
11679 viewsghazalEnglish