ghutan azab-e-badan ki na meri jaan mein la badal ke ghar mera mujh ko mere makan mein la meri ikai ko izhaar ka wasila de meri nazar ko mere dil ko imtihan mein la sakhi hai wo to sakhawat ki laj rakh lega sawal arz-e-talab ka na darmiyan mein la dil-e-wajud ko jo chir kar guzar jae ek aisa tir tu apni kadi kaman mein la hai wo to hadd-e-giraft-e-khayal se bhi pare ye soch kar hi khayal us ka apne dhyan mein la badan tamam usi ki sada se gunj uthe talatum aisa koi aaj meri jaan mein la charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi jala ke apna diya raushni makan mein la ba-rang-e-khwab sahi sari kaenat 'akbar' wajud-e-kul ko na andesha-e-guman mein la