gir raha hun sanbhal raha hun main
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
gir raha hun sanbhal raha hun main
par lagatar chal raha hun main
kahin koi dhuan na chingari
kis saliqe se jal raha hun main
apne hathon mein aag uthae hue
barf ki sil pe chal raha hun main
jis pe aandhi ka aana jaana hai
usi raste pe jal raha hun main
khud se bhi haarna nahin manzur
khud se aage nikal raha hun main
aur koi nahin hai koi nahin
apna ne'mul-badal raha hun main
kabhi us ne mujhe chhua tha 'kamal'
aur ab tak pighal raha hun main
par lagatar chal raha hun main
kahin koi dhuan na chingari
kis saliqe se jal raha hun main
apne hathon mein aag uthae hue
barf ki sil pe chal raha hun main
jis pe aandhi ka aana jaana hai
usi raste pe jal raha hun main
khud se bhi haarna nahin manzur
khud se aage nikal raha hun main
aur koi nahin hai koi nahin
apna ne'mul-badal raha hun main
kabhi us ne mujhe chhua tha 'kamal'
aur ab tak pighal raha hun main
97332 viewsghazal • English