gire qatron mein patthar par sada aisa bhi hota hai bhala ho kar bhala nam-e-khuda aisa bhi hota hai dilon mein talkhiyan phir bhi nazar mein muskurahat ho bala ke habs mein bhi ho hawa aisa bhi hota hai main khud se ajnabi ho kar qaba-e-khush-dili pahnun mere andar rahe koi chhupa aisa bhi hota hai kanar-e-ab-e-dajla dhup tapti ho qayamat ki har ek zarra bane karb-o-bala aisa bhi hota hai kabhi tanhaiyon mein khud-kalami aur phir hansna mujhe ras aae ye aab-o-hawa aisa bhi hota hai sabhi padh kar phir apni rah ho lete hain basti mein sar-e-diwar kuchh mubham likha aisa bhi hota hai bacha lun nuh ke bede ko tufanon ki shiddat se badha bahr-e-madad khud kibriya aisa bhi hota hai