go ab mere wujud pe sar hai na dosh hai
By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
go ab mere wujud pe sar hai na dosh hai
phir bhi wahi junun wahi josh-o-kharosh hai
tujh sa koi nahin hai wagarna jahan mein
koi zahin hai to koi sakht-kosh hai
tu ne rakha na halqa-e-ahbab mein jise
wo shakhs aaj bhi tera halqa-ba-gosh hai
ran mein hamein rajaz ki zarurat nahin ki ab
itna badan mein khun nahin jitna josh hai
idrak se fuzun hai meri haalat-e-junun
tu jaanta nahin ki tujhe 'aql-o-hosh hai
insan ke mizaj mein yaksaniyat nahin
main kaise man jaun ki banda sarosh hai
itna ghurur qasr-e-shahi par na kijiye
yan koi mustaqil nahin khana-ba-dosh hai
bas main hi chup nahin hun sar-e-bostan-e-'ishq
bulbul bhi gul ke sath barabar khamosh hai
ye kaun padh raha hai marasi anis ke
har samt marhaba ki sada zeb-e-gosh hai
wo aankh aankh hai ki jo rakhti hai ma'rifat
wo gosh gosh hai jo haqiqat-niyosh hai
main jo hua hun qarya-ba-qarya zalil-o-khwar
is mein bhi tere tarz-e-taghaful ka dosh hai
wa'iz bura na kah meri bazm-e-nashat ko
yan par teri bahisht se kam naw-nosh hai
itni shafaq-numa hai rukh-e-yar ki phaban
jitni charagh-e-sham ki lau surkh-posh hai

95712 viewsghazal • English