go ba-zahir to mehrban hain aap

go ba-zahir to mehrban hain aap
jaanta hun ki bad-guman hain aap

intizam-e-chaman nahin hota
kya kahun kaise baghban hain aap

mani-e-pasban nahin malum
kaun mane ki pasban hain aap

karwan har qadam pe lutta hai
waqai mir-e-karwan hain aap

is mein gunjaish-e-kalam nahin
kishwar-e-dil ke hukmran hain aap

apni hasti pe naz hai mujh ko
meri hasti ke raaz-dan hain aap

aap se mujh ko rabt-e-mohkam hai
zarra main mehr-e-zau-fishan hain aap

hazrat-e-abr-ahsani ke tufail
kahan 'akhtar' the ab kahan hain aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close