go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha

By anwar-shuoorOctober 25, 2020
go kathin hai tai karna umr ka safar tanha
laut kar na dekhunga chal pada agar tanha
sach hai umr bhar kis ka kaun sath deta hai
gham bhi ho gaya rukhsat dil ko chhod kar tanha


aadmi ko gumrahi le gai sitaron tak
rah gae bayaban mein hazrat-e-khizar tanha
hai to wajh-e-ruswai meri hamrahi lekin
raston mein khatra hai jaoge kidhar tanha


ai 'shuur' is ghar mein is bhare-pure ghar mein
tujh sa zinda-dil tanha aur is qadar tanha
64474 viewsghazalEnglish