go sada tumne kaj-adai ki

By wafa-niyaziJanuary 8, 2021
go sada tum ne kaj-adai ki
hum ne har zulm ki samai ki
dil ke dil mein rahe mere arman
aa gai umr parsai ki


us ke wade ka e'tibar kiya
jis ki aadat ho bewafai ki
hech nazron mein ho gai shahi
jab tere dar ki jubba-sai ki


hum se qaem 'wafa' ka nam raha
tum se izzat hai bewafai ki
50834 viewsghazalEnglish