goriyon kaliyon ne mar diya

By abdul-hamid-adamOctober 22, 2020
goriyon kaliyon ne mar diya
jamunon waliyon ne mar diya
ang hain ya rikabiyan dhan ki
mohni thaaliyon ne mar diya


gungunate hasin kanon ki
dolti baaliyon ne mar diya
ude ude sahab se aanchal
rang ki jaliyon ne mar diya


zulf ki nikhaton ne jaan le li
hont ki laliyon ne mar diya
uff wo pyase moazzezin jinhen
ras-bhari galiyon ne mar diya


jhumti daliyon se jism 'adam'
jhumti daliyon ne mar diya
28923 viewsghazalEnglish