goya hai tab-e-ishq mein bimar ki talab aa ja to ab samajh ke dil-e-zar ki talab phir chashm wa kare hai rukh-e-yar ki talab ki did ko hai phir kisi didar ki talab aur lams ko hai phir usi rukhsar ki talab abru kare hai phir se nigah-e-yar ki talab phir rakhsh ko khayal ke raftar ki talab baada kare hai phir usi sarshaar ki talab phir nur ko hui hai shab-e-tar ki talab phir aabla kare hai sar-e-khar ki talab phir kaam ko wahi hai rah-e-dar ki talab phir shauq kar raha hai kharidar ki talab